(1st Verse) Aaj bhi zulm-o-sitam kay rung wesay hi Mazi ki aahon say seekha kuch bhi nehin. Aaj bhi insaniyat mismaar har jaga Haathon mein doltay hathiyar har jaga. (Pre-chorus) Nazrein chura kay guzarne ka Nehin mujh mein yay hosla. (Chorus) Mein janay kyun hoon bolta Hay insaaf mein takheer to is say hay mera kia wasta. Mein janay kyun hoon sochta Jo zawal ki janib rawan ghaflat mein haymashra Janay mein. (2nd Verse) Aaj bhi kuch naujawan aisay hi zaya gaye Sitaron pay dalein kamand wo naujawan kahan gayay. Aaj bhi laashain pareen ghar ghar aur har gali Bhairriyon ka ambaar he ya he koi aadmi.