(1st Verse) Zindagi to hay yay aazmaishon ka maidaan Aur hay yahan imtehan har jaga har gharee. (2nd Verse) Aarzoo jo rahay zinda jismon mein, aankhon mein bhi pehchan To manzil bahein kholay ho khari. (Pre-chorus) In honton ko hmesha muskrahton ka intizar rehta hay Aansoo har khushi ka jo bhi gira hay, yaadgar hota hay. (Chorus) Apnay in jazbon ka izhar aao hum karein Apni in himaton per aitebar aao hum karein.