(1st verse) Laita han janam ehsaas yay aur barhtay jatay hein faaslay Hota hay ghalat har doosra apnay hein yay faislay. (Pre-chorus) Jo bhi kiya apnay liyay Jo bhi kiya apnay liyay Aakhir kyun? (Chorus) Behisi, yay jalan, sungdili Aaikhir kyun? Mot ko yaad kar hay such yehi. (2nd Verse) Aaj kho gai duniya kay kitnay rangon mein saadgi Kum hoti ja rhi hay aadmi ki ehmiyat, ehmiyat kuch nehin.